Drill
Drill |
Kisi procedure ko kramwar aur uchit tarike se anukaran karane ki karawai ko drill kahate hai.
Drill two type ki hoti hai
1. Open drill
2. Close drill
Open drill battle area main ki jati hai.
Close drill kisi grond main learning ke doaran ki jati hai.
Drill ki shuruat 1666 main Maj Jen Drol Nation ne ki thi.
Aim of drill
- Cadets main discipline ki bhawana ka vikas karana.
- Cadets ko vastra pahanana aur chalana firana sikhana.
- Cadets ko aghyakari banana.
- Self defence ke type sikhana.
- Unity aur discipline develop karana .
- Body aur mind ke talmel ko strong banana.
- Cadets ko command aur control sikhana.
- Miljul kar kam karne ki habit dalana.
- Agility ko develop karana.
- Turnout aur bearing thik karana.
- Drill anushasan ki buniyad hai.
- Rolling eyes
- Drag one's feet
- Hopping and jumping
- Clash of heels
- To move the finger inside the boot
- Doing Unnecessary activities
Theory of drill
- Agility
- Stability
- Work together
- Sachetak / Executive
- Karyakary /Cautionary
- Sachtak words of command lamba khinch kar jabaki karyakary words of command sheeghrata se bole jaye.
- Dono words of command ke bich thoda viram ho.
Rank aur File
- Rank main cadets ek sidhi line main side by side khade hote hai
- File main cadets ek sidhi line main ek dusare ke piche khade hote hai.
Line break and visargen /Immersion
Immersion ka aadesh milane par right mude, salute kare (yadi koi officer ground par moajud ho to) aur thode viram ke baad tej chal se ground se bahar jaye. Yah parade ki samapti hoti hai.
Line break ka aadesh milane par right mude aur line tode. Es aadesh par salute nahi diya jata hai. Yah parade ki samapti na hokar kuchh samaya ka break hota hai.
Useful tips for drill
- The uniform should be neat, lacquered and ironed.
- Shirt and pant are properly stitched and buttoned.
- The uniform should neither be too loose nor too tight .
- Boots well polished and strapped.
- The belt in the pant should be properly tied .
- hair should be short neatly cut.
- Beard should be properly cut.
- The cap should be properly fited on the head.
- Savadhan ki position drill ki mool activities hai.
- Es position main dono adiya ek sidh main ho. Panje 30 degree ke kon par ho.
- Ghutane ekdam sidhe ho.
- Body sidhi tani hui ho.
- Kandhe vargakar aur saman rup se faile hua ho.
- Neck sidhi aur kolar ke bich main ho.
- hotho ko es prakar sidha rakhe ki anguthe, pant ki silai ki chhute hua aage ki aur ho, muthi band ho.
- Head aur eyes ekdam sidhe aur stable ho.
- All drill activities are started in position of attention.
Drill related Questions
- Savadhan mai dono pero ke bich mai 30 degree ka kon hota hai
- Vishram main heel ke bich main distance 12 inches hota hai. Aur panjo ke bich main distance 18 inches ka hota hai.
- Leg ko jamin se 6 inches upper uthate hai.
- Pichhe mud - 180 degree
- Left, Right mud -90 degree
- Khuli line aur nikat line main 1 1/2 kadam aage aur pichhe lete hai.
- Khuli line main first aur last line main 5 kadam ka fasala hota hai.
- Nikat line main first aur last line main 3 kadam ka fasala hota hai.
- Tej chal main ek step main 30 eanch ka kadam aur 1 min main 120 kadam chalate hai.
- Dod chal main 1 min main 180 kadam chalate hai. (40 inches ka kadam)
- Samiksha kram main 14 kadam chalkar tham hota hai.
- Dheere chal main 1 min main 70 kadam chalate hai. (30 inches ka kadam)
- Rifle drill main salami shastra three type ke hote hai-
JAI HIND!
Comments
Post a Comment