NCC INTRODUCTION, NCC KI HISTORY & NCC AIM
Aaj ke es blog me ham NCC ke some topics ko define karenge
A. NCC KA INTRODUCTION
B. NCC KI HISTORY
C. NCC KA AIM
D. NCC KA MOTO
E. NCC SHAPATH
F. PRATIGHYA
G. NCC GAN
H. NCC FLAG
I. ENROLMENT/NCC BHARTI
A. NCC INTRODUCTION
National cadet corps (ncc) Bharatiya cadet corps hai jiska mukhyalay new Delhi me hai .
yah ek svaichchhik sanstha hai jo poore india ke school , college se cadets ki bharti karate hai.
Cadet ko parade aur chhote hathiyar chalane ka sainya prashikshan diya jata hai.
National cadet corps army, naval aur air forces ka ek triseva sangathan hai.
B. NCC KI HISTORY
Jo desh ke yuvavo ko sanvar kar anushasit aur deshbhakt nagriko me dhal deta hai.
Ncc ki utpati ko ‘ university corps’ ke sath joda ja sakta hai jiski sthapna bharatiya raksha adhiniyam 1917 ke tahat sainiko ki kami ko pura karane ke liye ki gyi thi.
1920 me jab bharatiya pradeshic adhiniyam parit kiya gya to ‘univercity corps’ko change karke ‘university training corps’ me badal diya gya.
1942 me UTC ka naam badal kar ‘univercity officers training corps ‘ kar diya gya tha .
Ncc bharat me ‘ national cadet corps act , 1948 ‘ dvara gathit hai . ncc ka foundation 15 july , 1948 ho huaa tha .
PANDIT HRADAYANATH KUNJARU ki adhyakshta wali ek samiti ne school and college mai national level ke ek cadet sangathan ki sifarish ki .
Pakisthan ke sath 1965 and 1971 ke war main cc cadet raksha ki second line mai the.ncc mai cadets ke leadership ke guno ke sath sath officer ke jaise guno per bhi force kiya gya .
PANDIT JAWAHAR LAL NEHARU NCC ke vikas me interest lete the.
OVER ALL INDIA ME NCC KA PRASAR ES PRAKAR SE HAI
India me total cadets ka prasar 1329202 hai .
I. Leadership , characters, khel bhawana and seva ka vikas karana.
C. NCC AIM
II. Disciplined and training liye huye human power jo rashtriya aapada ke samaya desh ki madad kar sake .
III. Ncc me cadets me officer ke guno ko develop kiya jata hai taki vah aage army officer ban sake.
IV. Ncc har ek person mai unselfish seva ke aadarsho ka vikas karti hai.
Unity and discipline(ekta and anushasan).
I. Muskan ke sath aghya ka palan karna .
D. NCC MOTO
E. MAHANIDESHAK KE FOUR SIDHDANT
II. Time ke pakke raho.
III. Hard working karo.
IV. Bahane mat banao aur jhot mat bolo.
“ Mai satyanishtha se shapath leta hoon ki poori sachchhai aur shradhda se apni matrabhoomi ki seva karunga aur ncc ke sabhi niyamo aur adhuniyamo ka palan karunga. Eske alawa apne commanding officer ke aadesh ke according parade aur camp mai poori tarah se hissa loonga.
Ham ncc ke cadet pratighya karate hai ki hamesha bharat ki ekta ko banaye rakhenge. Ham sankalp lete hai ki bharat ke disciplined aur responsible person banenge. Ham apne sathi jivo ke hit mai unselfish bhav se samudayik seva karenge.
Ncc flag mai three pattiya hoti hai jinme se red patti army, blue patti naval and sky patty airforce ko batati hai.
F. NCC SHAPATH
G. PRATIGHYA
H. NCC GAN
I. NCC FLAG
Flag ke centre mai 17 kamal ke foolo ka gool har hota hai jo 17 state nideshalayo ko darshata hai.
Fag ke niche ncc ka moto likha rahata hai.
Flag ki shape mukut ke saman hoti hai.
Ncc mai bharti svaichchhik adhar par hoti hai.
J. ENROLLMENT /NCC BHARTI
13 sal se adhik student ncc me bharti ho sakte hai.
Class 8 se 10 ke students junior division mai aur 11 se upper ke students senior division mai entry karte hai.
JAI HIND !
This blog post is best ๐๐๐
ReplyDelete