NCC INTRODUCTION, NCC KI HISTORY & NCC AIM
Aaj ke es blog me ham NCC ke some topics ko define karenge A. NCC KA INTRODUCTION B. NCC KI HISTORY C. NCC KA AIM D. NCC KA MOTO E. NCC SHAPATH F. PRATIGHYA G. NCC GAN H. NCC FLAG I. ENROLMENT/NCC BHARTI A. NCC INTRODUCTION National cadet corps (ncc) Bharatiya cadet corps hai jiska mukhyalay new Delhi me hai . yah ek svaichchhik sanstha hai jo poore india ke school , college se cadets ki bharti karate hai. Cadet ko parade aur chhote hathiyar chalane ka sainya prashikshan diya jata hai. B. NCC KI HISTORY National cadet corps army, naval aur air forces ka ek triseva sangathan hai. Jo desh ke yuvavo ko sanvar kar anushasit aur deshbhakt nagriko me dhal deta hai. Ncc ki utpati ko ‘ university corps’ ke sath joda ja sakta hai jiski sthapna bharatiya raksha adhiniyam 1917 ke tahat sainiko ki kami ko pura karane ke liye ki gyi thi. 1920 me jab bharatiya pradeshic adhiniyam parit kiya gya ...